Sheb E Barat Kay Hai Or Isme Kay Karna Hai Sha’aban Ki 15vi Raat Ko Shab E Baraat Kaha Jata Hai. Ye Raat Badi Ba Barkat Raat Hai Iss Raat Mein ALLAH Hota Hai. Ki Rehmaton ate uzool Iss Raat ALLAH Se Jo Dua’aen Maangni Ho Maangni Chahiye Kyun Ki Iss Raat Dua’aen Qubool Hoti Hain. Hamare Pyare Nabi م Ne 5 Raaton Ka Zikr Kiya Hai Jin Me Dua’aen Radd Nahi Hoti Un Mein Se Ek 15 Sha’aban Bhi Hai.
Iss Raat Ko Alag Alag Naam Se Bhi Pukara Jata Hai Kyun Ki Iss Raat 2024
Taubah Qubool Ki Jaati Hai. Jaate Hain. Gunaah Mita Diye Dua’aen Qubool Hoti Hain.
◆Ye Woh Raat Hai Jisme Aasman Aur Rehmat Ke 300 Darwaze Khol Diye Jaate Hain.
Iss Raat Bakri Ke Baal Se Bhi Maghfirat Kardi Jaati Hai. ni Zyada Logon Ki
◆ Iss Raat Logon Ke Aaʼamal Aasman Ki Janib Buland Kiye Jate Hain.
◆ Isi Raat Marne Walon Ki Aur Paida Hone Walon Ki Ta’adaad Aur Insan Ki Har Har Chiz Likh Di Jaati Hai Aur Naya Aa’amal Nama Shuru Kiya Jaata Hai.
Isi Raat Rizq Taqseem Kiye Jaate Hain.
Ye Raat Saal Bhar Ke Gunahon Ka Kaffara Banti Hai.
SHAB E BARAT
Hamare Pyare Nabi هم Ne Farmaya Ke Maine Tumhe Qabron Ki Ziyarat Se Mana Kiya Tha Ab Ziyarat E Quboor Kiya Karo Ke Beshak Ye Duniya Se Be-Ragbat Karti Hai Aur Aakhirat Ki Yaad Dilati Hai. (Ibne Majah: 1571)
Iss Raat Apne Marhoomin Ko Yaad Rakhein Unki Qabron Ki Ziyarat Karien Unke Liye Be Hisab Isaale Sawab Karien.
SHAB E BARAT ME KYA KARNA HAI..?
1) Sabse Pehle (Shab E Baraat) Ko Yaani 14th Or 15th Shaban Ya 15 Or 16 Shaban Ka Roza Rakhna Hai, Sirf 15th Ka Bhi Rehsakte Hai.
2) Shab E Baraat Shuru Hone Se Pehle Yaani (14th Shaban) Ko Asar Ki Namaz Ke Baad Maghrib Se Pehle 40 Martaba Lahawla Wala Quwwata Illabillahil Aliyil Azeem Padhe.
3) Shab E Baraat Shuru Hote Hi Maghrib Ki Namaz Ke Baad Ghusul Kare (Paani Me 7 Adat Bair Ke Pattey Dalkar Pani Garam Kare) Or Usi Paani Se Ghusul Kare Insha’Allah Saal Bhar Tak Jaadu Se Mehfooz Rahenge.
4) Maghrib Ki Namaz Ke Baad 3 Baar Surah Yaseen Ki Tilawat Kare Or Dua Kare (1. Rizq Me Barkat Ke Liye, 2. Umr Me Barkat Ke Liye & 3. Jhannam Se Azadi Ke Liye).
5) Raat Me Fajr Se Pehle Qabristaan Jana Sunnat hai, Apne Marhumeen Ke Qabrau Ki Ziyarat Kare.
6) Or Raat Bhar Nafil Namaze Ya Phir Qaza Namaze Padhiye, Ye Nafil Se Zyada Zaruri Hai.
7) Zyada Waqt Ibadat Me Guzare Or Tahajjud Zarur Ada Kare Or Dua Kare Tamam Musalmanau Ke Liye.
SHAB E BARAT
Shab E Baraat Mein Ibadat Karna Mustahab Hai Koi Bidd’at Nahi Hai. Iss Raat Achchhe Libaas Pehne, Khushboo Lagaaein, Surma Lagaaein, Qabrastan Jaaein, Masjid Jaaein Aur Aurtein Gharon Mein Rahein S Aur Ibadaat Karein.
SHAB E BARAT
Shab E Baraat Mein (Surah Dukhan) Parhna Mustahab Hai Hazrat Abu Huraira Se Marwi Hai Ki Jo Koi Iss Raat Surah Dukhan Ki Tilawat Kare To Subha Ise Karega Ke 70 Hazaar Farishte Uske Liye Dua’aein Maghfirat Kar Rahe Honge. Kam Se Kam Ek Baar Toh Zaroor Parhein Surah Dukhan.
MAGHRIB KE BAAD 6 NAWAFIL ADAA KAREIN
15 Shaban Ko Maghrib Ki Namaz Ke Baad 6 Raka’at Namaz E Nifl Yun Parhein Ke 2 Raka’at Darazi Umr Bil Khair Ki 2 Raka’at Dafa E Bala Ki 2 Raka’at Makhlooq Mein Kisi Ka Mohtaj Na Hone Ki.
Ye Namaz Aise Hi Parhein Jaise Hum 5 WAQT Ki Namaz Parhte Hain.
Har Raka’at Ke Ba’ad Salam Pher Kar 1 Baar Surah Yasin Parhein Agar Surah Yasin Na Parh Sake Toh 21 Martaba Sureh Ikhlas Yaani (Kul Hu ALLAH Hu Ahad) Ki Surah Parh Lein Aur ALLAH Se Be Tahasha Dua’aen Karein.
SHAB E BARAT
“Hazrat Imaam Ali Ka Farmaan Hai Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Mein Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Duniya Par Khas Tazalli Farmata Hai Aur Kehta, Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Waala Ki Usse Baksh Doon, Hai Koi Rozi Talab Karne Waala Ki Usse Rozi Doon, Hai Koi Musibat Jada Ki Usse Aafiyat Ata Karoon, Hai Koi Aisa! Hai Koi Aisa! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmata Hai Ki Fajr Tuloo Hojaye”
(Sunan Ibne Majah, Vol: 2, Page: 334)
SHAB E BARAT
Is Raat Se Pehle Kisi Ke Saath Kuch Bhi Galat Kiya Ho Toh DIL Se Maafi Maanglein Aur Khud Bhi Sab Ko Maaf Kar Dein
“ALLAH TAALA” HUM SABKE IMAAN KI HIFAZAT KARE AUR IS MUBARAK RAAT ME HAMARA NAAM BHI UNME SHAMIL HO JINKI MAGFIRAT HOJAAYE “AMEEN”